sanam ka nur dekha hai KHuda ke nur ke badle
sanam ka nur dekha hai KHuda ke nur ke badle
Siraj Mir Khan Sahab Sahar
MORE BYSiraj Mir Khan Sahab Sahar
sanam kā nuur dekhā hai ḳhudā ke nuur ke badle
huā hai dāġh-e-dil raushan charāġh-e-tūr ke badle
anal-haq ke evaz lab se anal-mahbūb jaarī ho
chaḌhā.eñ daar par mujh ko agar mansūr ke badle
jo dekheñge tire husn-e-jahāñ-ārā ko mahshar meñ
ḳhudā se log māñgeñge tujhī ko huur ke badle
pas-e-murdan agar yaaro mayassar ho to rakh denā
kafan meñ ḳhāk-e-kū-e-dil-rubā kāfūr ke badle
ḳhudāyā ishq-e-but meñ is qadar saḳhtī uThā.ī hai
ki pahlū meñ hai ik patthar dil-e-ranjūr ke badle
sanam ka nur dekha hai KHuda ke nur ke badle
hua hai dagh-e-dil raushan charagh-e-tur ke badle
anal-haq ke ewaz lab se anal-mahbub jari ho
chaDhaen dar par mujh ko agar mansur ke badle
jo dekhenge tere husn-e-jahan-ara ko mahshar mein
KHuda se log mangenge tujhi ko hur ke badle
pas-e-murdan agar yaro mayassar ho to rakh dena
kafan mein KHak-e-ku-e-dil-ruba kafur ke badle
KHudaya ishq-e-but mein is qadar saKHti uThai hai
ki pahlu mein hai ek patthar dil-e-ranjur ke badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.