sanam-kada mein haram mein sharab-KHane mein
sanam-kada meñ haram meñ sharāb-ḳhāne meñ
hameñ mile tire jalve har āstāne meñ
ye jazb-e-ḳhās na dekhā kahīñ zamāne meñ
girī to Duub ga.ī barq āshiyāne meñ
jo āftāb se mansūb hai zamāne meñ
usī ko kahte haiñ sāġhar sharāb-ḳhāne meñ
maiñ sajda-rez rahā be-ḳhudī meñ har dar par
jabīn-e-shauq rahī un ke āstāne meñ
chaman kī ruuh mirī zindagī kā hāsil the
vo chaar tinke jo the mere āshiyāne meñ
ye DeḌh iiñT kī masjid nahīñ hai ai vaa.iz
hayāt ḳhizr se le mai-kada banāne meñ
jilā milī hai mire dil ko un ke jalvoñ se
vo ḳhud sharīk the ye aa.ina banāne meñ
nahīñ hai haq use un ke naqāb ulaTne kā
bahak gayā ho jo pī kar sharāb-ḳhāne meñ
taḌap ke barq girī us pe is tarah goyā
bahut baḌī koī daulat hai āshiyāne meñ
mirā ḳhayāl mirā sajda merā zauq-e-talab
jo aa gayā vo rahā tere āstāne meñ
nafas nafas meñ vahī jalva-gar nazar aa.e
'vakīl' DhūñDh rahā thā jinheñ zamāne meñ
sanam-kada mein haram mein sharab-KHane mein
hamein mile tere jalwe har aastane mein
ye jazb-e-KHas na dekha kahin zamane mein
giri to Dub gai barq aashiyane mein
jo aaftab se mansub hai zamane mein
usi ko kahte hain saghar sharab-KHane mein
main sajda-rez raha be-KHudi mein har dar par
jabin-e-shauq rahi un ke aastane mein
chaman ki ruh meri zindagi ka hasil the
wo chaar tinke jo the mere aashiyane mein
ye DeDh inT ki masjid nahin hai ai waiz
hayat KHizr se le mai-kada banane mein
jila mili hai mere dil ko un ke jalwon se
wo KHud sharik the ye aaina banane mein
nahin hai haq use un ke naqab ulaTne ka
bahak gaya ho jo pi kar sharab-KHane mein
taDap ke barq giri us pe is tarah goya
bahut baDi koi daulat hai aashiyane mein
mera KHayal mera sajda mera zauq-e-talab
jo aa gaya wo raha tere aastane mein
nafas nafas mein wahi jalwa-gar nazar aae
'wakil' DhunDh raha tha jinhen zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.