sanam sanam na pukare KHuda KHuda na kare
sanam sanam na pukare KHuda KHuda na kare
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
sanam sanam na pukāre ḳhudā ḳhudā na kare
vo choT khaa.ī hai dil ne ki ab duā na kare
udhar na dekhiye varna ye shahr-e-nā-pursāñ
tumhārī ek zarā be-ruḳhī se kyā na kare
maiñ apne des meñ bhī ajnabī sā lagtā huuñ
koī ḳhulūs na barte koī vafā na kare
bas ik ḳharāb-e-tamanna hamīñ nazar aa.e
sulūk aap kareñ jo vahī zamāna kare
ġharīb-e-shahr kī ye nā-rasā.iyāñ tauba
tumhāre dar pe bhī aaya magar sadā na kare
ab aise zūd-farāmosh se bhī kyā kahnā
kabhī jo baat banā.e kabhī bahāna kare
kiran asiir mahak muzmahil hai ab 'sarmad'
maiñ aise daur meñ bhī chup rahūñ ḳhudā na kare
sanam sanam na pukare KHuda KHuda na kare
wo choT khai hai dil ne ki ab dua na kare
udhar na dekhiye warna ye shahr-e-na-pursan
tumhaari ek zara be-ruKHi se kya na kare
main apne des mein bhi ajnabi sa lagta hun
koi KHulus na barte koi wafa na kare
bas ek KHarab-e-tamanna hamin nazar aae
suluk aap karen jo wahi zamana kare
gharib-e-shahr ki ye na-rasaiyan tauba
tumhaare dar pe bhi aaya magar sada na kare
ab aise zud-faramosh se bhi kya kahna
kabhi jo baat banae kabhi bahana kare
kiran asir mahak muzmahil hai ab 'sarmad'
main aise daur mein bhi chup rahun KHuda na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.