sanat na hogi taham kya chiz ho gae tum
san.at na hogī tāham kyā chiiz ho ga.e tum
har shaḳhs se tavāzo har baat par tabassum
dekho na mere dil kī tasvīr-e-pā.emālī
apne se ḳhud na nafrat karne lago kahīñ tum
jis din se tere dil tak pahuñchīñ mirī nigāheñ
yaksāñ hai mujh ko terī ḳhāmoshī-o-takallum
hai kis maqām par ab ulfat ḳhudā hī jaane
haiñ vo bhī aaj chup-chup baiThe haiñ ham bhī gum-sum
maiñ soch meñ thā chhoḌūñ kis tarah do-jahāñ ko
achchhā huā ki mujh ko aise meñ mil ga.e tum
'maikash' sā aadmī aur ulfat kī saḳht rāheñ
har gaam par hai laġhzish har gaam par tasādum
sanat na hogi taham kya chiz ho gae tum
har shaKHs se tawazo har baat par tabassum
dekho na mere dil ki taswir-e-paemali
apne se KHud na nafrat karne lago kahin tum
jis din se tere dil tak pahunchin meri nigahen
yaksan hai mujh ko teri KHamoshi-o-takallum
hai kis maqam par ab ulfat KHuda hi jaane
hain wo bhi aaj chup-chup baiThe hain hum bhi gum-sum
main soch mein tha chhoDun kis tarah do-jahan ko
achchha hua ki mujh ko aise mein mil gae tum
'maikash' sa aadmi aur ulfat ki saKHt rahen
har gam par hai laghzish har gam par tasadum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.