sanbhal ke rahna baDa kaThin hai
sañbhal ke rahnā baḌā kaThin hai
na kuchh bhī kahnā baḌā kaThin hai
shafīq lahjoñ ke tez nashtar
hanūz sahnā baḌā kaThin hai
kisī kināre baġhair kashtī
havā se bahnā baḌā kaThin hai
libās bhārī pe ūñchā juutā
guloñ kā gahnā baḌā kaThin hai
hamārī yādoñ meñ 'nāz' us kā
udaas rahnā baḌā kaThin hai
sanbhal ke rahna baDa kaThin hai
na kuchh bhi kahna baDa kaThin hai
shafiq lahjon ke tez nashtar
hanuz sahna baDa kaThin hai
kisi kinare baghair kashti
hawa se bahna baDa kaThin hai
libas bhaari pe uncha juta
gulon ka gahna baDa kaThin hai
hamari yaadon mein 'naz' us ka
udas rahna baDa kaThin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.