sanbhal-sanbhal ke rah-e-ishq mein qadam na baDhao
sanbhal-sanbhal ke rah-e-ishq mein qadam na baDhao
Abdussamad ’Tapish’
MORE BYAbdussamad ’Tapish’
sañbhal-sañbhal ke rah-e-ishq meñ qadam na baḌhāo
junūñ junūñ hai ḳhirad kī use na chaal sikhāo
añdherī shab hai na socho ki kaun guzregā
guzar hī jā.egā koī bhī rāsta to dikhāo
hazār-gūna hasīñ haiñ ye mah-vashān-e-zamīñ
falak ke chāñd sitāro bahut na tum itrāo
har ek vahm pe hotā hai ab yaqīñ kā gumāñ
sarāb-e-vaqt ko samjho fareb-e-vaqt na khaao
tumhāre zauq-e-safar kā ye imtihān hai 'tapish'
khileñge phuul bhī rāhoñ meñ tum qadam to baḌhāo
sanbhal-sanbhal ke rah-e-ishq mein qadam na baDhao
junun junun hai KHirad ki use na chaal sikhao
andheri shab hai na socho ki kaun guzrega
guzar hi jaega koi bhi rasta to dikhao
hazar-guna hasin hain ye mah-washan-e-zamin
falak ke chand sitaro bahut na tum itrao
har ek wahm pe hota hai ab yaqin ka guman
sarab-e-waqt ko samjho fareb-e-waqt na khao
tumhaare zauq-e-safar ka ye imtihan hai 'tapish'
khilenge phul bhi rahon mein tum qadam to baDhao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.