sang-dil hai asar us pe hoga nahin qissa-e-gham sunane se kya faeda
sang-dil hai asar us pe hoga nahin qissa-e-gham sunane se kya faeda
Mahboob Khan Raunaq
MORE BYMahboob Khan Raunaq
sang-dil hai asar us pe hogā nahīñ qissa-e-ġham sunāne se kyā fā.eda
kam to hotī nahīñ sozish-e-zindagī āñsuoñ meñ nahāne se kyā fā.eda
raaz rakhte ho kyoñ saaf farmā.iye dil kī bāteñ chhupāne se kyā fā.eda
aas de de ke māyūs karte ho kyoñ yuuñ kisī ko satāne se kyā fā.eda
apnī tishna-labī kī shikāyat nahīñ ye to sāqī-garī kī bhī tauhīn hai
mai-kashī kā taqāzā samjhiye zarā qatra-qatra chakhāne se kyā fā.eda
ḳhauf-e-sayyād hai bijliyoñ kā hai Dar nā-muvāfiq havā hai fazā pur-ḳhatar
jab muḳhālif hai itne zamīñ āsmāñ phir nasheman banāne se kyā fā.eda
āmad-e-fasl-e-gul ho mubārak tumheñ ahl-e-gulshan magar ye to farmā.iye
jo kisī ke gale kī na zīnat bane aisī kaliyāñ khilāne se kyā fā.eda
chāñdnī kī tarah vajh-e-farhat bane husn se kuchh ziyā-e-mohabbat mile
barq ban kar jalā de jo duniyā mirī aisā jalva dikhāne se kyā fā.eda
raaz is meñ nahīñ koī is ke sivā maiñ jo ḳhāmosh huuñ 'raunaq'-e-be-navā
jis se fariyād hai vo to suntā nahīñ phir jahāñ ko sunāne se kyā fā.eda
sang-dil hai asar us pe hoga nahin qissa-e-gham sunane se kya faeda
kam to hoti nahin sozish-e-zindagi aansuon mein nahane se kya faeda
raaz rakhte ho kyon saf farmaiye dil ki baaten chhupane se kya faeda
aas de de ke mayus karte ho kyon yun kisi ko satane se kya faeda
apni tishna-labi ki shikayat nahin ye to saqi-gari ki bhi tauhin hai
mai-kashi ka taqaza samjhiye zara qatra-qatra chakhane se kya faeda
KHauf-e-sayyaad hai bijliyon ka hai Dar na-muwafiq hawa hai faza pur-KHatar
jab muKHalif hai itne zamin aasman phir nasheman banane se kya faeda
aamad-e-fasl-e-gul ho mubarak tumhein ahl-e-gulshan magar ye to farmaiye
jo kisi ke gale ki na zinat bane aisi kaliyan khilane se kya faeda
chandni ki tarah wajh-e-farhat bane husn se kuchh ziya-e-mohabbat mile
barq ban kar jala de jo duniya meri aisa jalwa dikhane se kya faeda
raaz is mein nahin koi is ke siwa main jo KHamosh hun 'raunaq'-e-be-nawa
jis se fariyaad hai wo to sunta nahin phir jahan ko sunane se kya faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.