sang-dil zamane ko kaise koi samjhae kaise jite marte hain wo jo ishq karte hain
sang-dil zamane ko kaise koi samjhae kaise jite marte hain wo jo ishq karte hain
Mohammad Ishtiyaaq Aalam
MORE BYMohammad Ishtiyaaq Aalam
sañg-dil zamāne ko kaise koī samjhā.e kaise jiite marte haiñ vo jo ishq karte haiñ
dard-o-ġham ke ghere meñ har ghaḌī akele meñ TūTte bikharte haiñ vo jo ishq karte haiñ
umr kaaT dete haiñ ḳhud ko āzmāne meñ baat ye haqīqat hai aaj bhī zamāne meñ
bār-e-ġham uThāte haiñ zaḳhm dil pe khāte haiñ aur aah bharte haiñ vo jo ishq karte haiñ
jabr ke kināre se sabr ke jazīre tak har qadam qayāmat hai phir bhī in kī himmat hai
thaam kar jigar apnā ġham ke is samundar meñ Dūbte ubharte haiñ vo jo ishq karte haiñ
ishq hai ḳhudā jin kā ishq hī ibādat hai ishq jin kī duniyā hai ishq jin kī jannat hai
aise log duniyā meñ ḳhauf kis se khāte haiñ kab kisī se Darte haiñ vo jo ishq karte haiñ
kho.e kho.e rahte haiñ apnī dāstān-e-dil kab kisī se kahte haiñ dekho aise jiite haiñ
bhuul kar zamāne ko har ghaḌī tasavvur kī jhiil meñ utarte haiñ vo jo ishq karte haiñ
tabsiroñ meñ rahte haiñ tazkaroñ meñ rahte haiñ ishq ke fasānoñ meñ haiñ ye dāstānoñ meñ
pattharoñ kī bastī se le ke dil kā ā.īna shaan se guzarte haiñ vo jo ishq karte haiñ
ishq karne vāloñ kī baat hī nirālī hai ishq karne vāloñ kī shaan hī ajab hai kuchh
jitne ġham uThāte haiñ jitne ashk piite haiñ utne hī nikharte haiñ vo jo ishq karte haiñ
tum to apne va.adoñ ko yūñhī toḌ dete ho tum to apnī qasmoñ ko pal meñ bhuul jaate ho
vāqa.ī jo āshiq haiñ apne ahd-o-paimāñ se kab bhalā mukarte haiñ vo jo ishq karte haiñ
sang-dil zamane ko kaise koi samjhae kaise jite marte hain wo jo ishq karte hain
dard-o-gham ke ghere mein har ghaDi akele mein TuTte bikharte hain wo jo ishq karte hain
umr kaT dete hain KHud ko aazmane mein baat ye haqiqat hai aaj bhi zamane mein
bar-e-gham uThate hain zaKHm dil pe khate hain aur aah bharte hain wo jo ishq karte hain
jabr ke kinare se sabr ke jazire tak har qadam qayamat hai phir bhi in ki himmat hai
tham kar jigar apna gham ke is samundar mein Dubte ubharte hain wo jo ishq karte hain
ishq hai KHuda jin ka ishq hi ibaadat hai ishq jin ki duniya hai ishq jin ki jannat hai
aise log duniya mein KHauf kis se khate hain kab kisi se Darte hain wo jo ishq karte hain
khoe khoe rahte hain apni dastan-e-dil kab kisi se kahte hain dekho aise jite hain
bhul kar zamane ko har ghaDi tasawwur ki jhil mein utarte hain wo jo ishq karte hain
tabsiron mein rahte hain tazkaron mein rahte hain ishq ke fasanon mein hain ye dastanon mein
pattharon ki basti se le ke dil ka aaina shan se guzarte hain wo jo ishq karte hain
ishq karne walon ki baat hi nirali hai ishq karne walon ki shan hi ajab hai kuchh
jitne gham uThate hain jitne ashk pite hain utne hi nikharte hain wo jo ishq karte hain
tum to apne wadon ko yunhi toD dete ho tum to apni qasmon ko pal mein bhul jate ho
waqai jo aashiq hain apne ahd-o-paiman se kab bhala mukarte hain wo jo ishq karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.