sang-e-malamat paiham barse aur ruswa din raat hue
sang-e-malāmat paiham barse aur rusvā din raat hue
aap kī nagrī meñ ham aa kar kitne kam-auqāt hue
yūrish-e-ġham se kaif-o-nashāt-e-hastī-e-dil pāmāl rahe
nauhe ban ga.e sher ġhazal ke āh-o-fuġhāñ naġhmāt hue
jin se ahd-e-vafā thā apnā jin se dil ke rishte the
merā patā vo mujh se pūchheñ aise bhī hālāt hue
ahd-e-nā-pursāñ meñ hamāre jism-o-jāñ kī qīmat kyā
qarya qarya ham ko bāñTā ham goyā ḳhairāt hue
apnī tabī.at saada saada makr-o-daġhā se nā-mānūs
jis ne hañs kar baat kī ham se ham bas us ke saath hue
ham se thī tanvīr-e-gulistāñ ham se thī taz.īn-e-chaman
ahl-e-chaman meñ lekin rusvā gul-chīnoñ ke haath hue
pahle maa.eñ lorī de kar mīThī niiñd sulātī thiiñ
ab kahtī haiñ so jā varna chor aate haiñ raat hue
un kā bhī kuchh haal sunāo un kā bhī kuchh zikr karo
ek zamāna biit gayā hai jin se hamārī baat hue
roz-e-azal se bichhḌe hue ho āḳhir kab tum aaoge
sub.h savere jaane vaale lauT aate haiñ raat hue
sang-e-malamat paiham barse aur ruswa din raat hue
aap ki nagri mein hum aa kar kitne kam-auqat hue
yurish-e-gham se kaif-o-nashat-e-hasti-e-dil pamal rahe
nauhe ban gae sher ghazal ke aah-o-fughan naghmat hue
jin se ahd-e-wafa tha apna jin se dil ke rishte the
mera pata wo mujh se puchhen aise bhi haalat hue
ahd-e-na-pursan mein hamare jism-o-jaan ki qimat kya
qarya qarya hum ko banTa hum goya KHairaat hue
apni tabiat sada sada makr-o-dagha se na-manus
jis ne hans kar baat ki hum se hum bas us ke sath hue
hum se thi tanwir-e-gulistan hum se thi tazin-e-chaman
ahl-e-chaman mein lekin ruswa gul-chinon ke hath hue
pahle maen lori de kar miThi nind sulati thin
ab kahti hain so ja warna chor aate hain raat hue
un ka bhi kuchh haal sunao un ka bhi kuchh zikr karo
ek zamana bit gaya hai jin se hamari baat hue
roz-e-azal se bichhDe hue ho aaKHir kab tum aaoge
subh sawere jaane wale lauT aate hain raat hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.