sang-e-malamat phenka hoga
sang-e-malāmat pheñkā hogā
shīsha-e-dil yuuñ TuuTā hogā
kaun hai chhat par koī nahīñ hai
ḳhauf ne patthar pheñkā hogā
sūkhī Daal pe aas kā panchhī
gahrī soch meñ Duubā hogā
bastī meñ kohrām machā hai
jhiil meñ koī Duubā hogā
jhiil se kirneñ phuuT rahī haiñ
chāñd nahāne utrā hogā
jo khiḌkī se jhāñk rahā hai
Dhaltī dhuup kā TukḌā hogā
sab se mohabbat karte jaao
'zākir' koī to apnā hogā
sang-e-malamat phenka hoga
shisha-e-dil yun TuTa hoga
kaun hai chhat par koi nahin hai
KHauf ne patthar phenka hoga
sukhi Dal pe aas ka panchhi
gahri soch mein Duba hoga
basti mein kohram macha hai
jhil mein koi Duba hoga
jhil se kirnen phuT rahi hain
chand nahane utra hoga
jo khiDki se jhank raha hai
Dhalti dhup ka TukDa hoga
sab se mohabbat karte jao
'zakir' koi to apna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.