sang ho ya aaina sab ki kahani ek hai
sang ho yā aa.ina sab kī kahānī ek hai
aag sab kī ek hai aur sab kā paanī ek hai
kuchh haqīqat-āshnā haiñ ab bhī go thoḌe sahī
is na.ī duniyā meñ bhī duniyā purānī ek hai
qalb aur ehsās se yaksāñ hai sab kā silsila
hoñ junūñ vaale kahīñ bhī rājdhānī ek hai
hākimān-e-ahd-e-nau sab maslahat ke haiñ ġhulām
ho kahīñ kā koī raaja sab kī raanī ek hai
koī hañs kar chashm nam hai koī ro kar tar-ba-tar
aañkh har ik kī judā hai sab kā paanī ek hai
jur.at-e-iz.hār hī nāpaid hai jaise 'nihāl'
sab zabāñ rakhte haiñ sab kī be-zabānī ek hai
sang ho ya aaina sab ki kahani ek hai
aag sab ki ek hai aur sab ka pani ek hai
kuchh haqiqat-ashna hain ab bhi go thoDe sahi
is nai duniya mein bhi duniya purani ek hai
qalb aur ehsas se yaksan hai sab ka silsila
hon junun wale kahin bhi rajdhani ek hai
hakiman-e-ahd-e-nau sab maslahat ke hain ghulam
ho kahin ka koi raja sab ki rani ek hai
koi hans kar chashm nam hai koi ro kar tar-ba-tar
aankh har ek ki juda hai sab ka pani ek hai
jurat-e-izhaar hi napaid hai jaise 'nihaal'
sab zaban rakhte hain sab ki be-zabani ek hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.