sang ko takiya bana KHwab ko chadar kar ke
sañg ko takiya banā ḳhvāb ko chādar kar ke
jis jagah thaktā huuñ paḌ rahtā huuñ bistar kar ke
ab kisī aañkh kā jaadū nahīñ chaltā mujh par
vo nazar bhuul ga.ī hai mujhe patthar kar ke
yaar logoñ ne bahut rañj diye the mujh ko
jā chukā hai jo hisāb apnā barābar kar ke
us ko bhī paḌ gayā ik aur zarūrī koī kaam
maiñ bhī ghar par na rahā vaqt muqarrar kar ke
pūchhnā chāhtā huuñ us nigah-o-dil se 'jamāl'
kis ko ābād kiyā hai mujhe be-ghar kar ke
sang ko takiya bana KHwab ko chadar kar ke
jis jagah thakta hun paD rahta hun bistar kar ke
ab kisi aankh ka jadu nahin chalta mujh par
wo nazar bhul gai hai mujhe patthar kar ke
yar logon ne bahut ranj diye the mujh ko
ja chuka hai jo hisab apna barabar kar ke
us ko bhi paD gaya ek aur zaruri koi kaam
main bhi ghar par na raha waqt muqarrar kar ke
puchhna chahta hun us nigah-o-dil se 'jamal'
kis ko aabaad kiya hai mujhe be-ghar kar ke
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 74)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.