sang majnun pe laDakpan mein uThaya kyun tha
sañg majnūñ pe laḌakpan meñ uThāyā kyuuñ thā
yaad ġhālib kī tarah sar mujhe aayā kyuuñ thā
baat ab ye nahīñ kyuuñ chhoḌā thā us ne mujh ko
baat to ye hai ki vo lauT ke aayā kyuuñ thā
kitne ma.asūm-sifat log the samjhe hī nahīñ
us ne par toḌ ke titlī ko uḌāyā kyuuñ thā
jis ke hāthoñ meñ nazar aate the patthar kal tak
us ne hī merī taraf phuul baḌhāyā kyuuñ thā
ab vo apne ko ḳhudā samjhe to ġhalatī kyā hai
man ke mandir meñ use tum ne basāyā kyuuñ thā
sang majnun pe laDakpan mein uThaya kyun tha
yaad ghaalib ki tarah sar mujhe aaya kyun tha
baat ab ye nahin kyun chhoDa tha us ne mujh ko
baat to ye hai ki wo lauT ke aaya kyun tha
kitne masum-sifat log the samjhe hi nahin
us ne par toD ke titli ko uDaya kyun tha
jis ke hathon mein nazar aate the patthar kal tak
us ne hi meri taraf phul baDhaya kyun tha
ab wo apne ko KHuda samjhe to ghalati kya hai
man ke mandir mein use tum ne basaya kyun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.