sang mein ruh ka imkan bhi ho sakta hai
sang meñ ruuh kā imkān bhī ho saktā hai
vo jo but hai vo mirī jaan bhī ho saktā hai
kyā zarūrī hai mahaktā ho faqat us kā badan
ghar meñ rakkhā huā guldān bhī ho saktā hai
ye jo chāhat hai 'adāvat meñ badal saktī hai
ye jo tohfa hai kal ehsān bhī ho saktā hai
ab bhī aa saktā hai vo chāñd nazar dhyān rahe
nisf shab 'iid kā e'lān bhī ho saktā hai
phir tire baa'd hasīñ chehre ko dekhā to lagā
'ishq to hijr ke daurān bhī ho saktā hai
raah meñ 'ishq kī mā'lūm hai 'sayyad-ahmad’
jaan kā maal kā nuqsān bhī ho saktā hai
sang mein ruh ka imkan bhi ho sakta hai
wo jo but hai wo meri jaan bhi ho sakta hai
kya zaruri hai mahakta ho faqat us ka badan
ghar mein rakkha hua guldan bhi ho sakta hai
ye jo chahat hai 'adawat mein badal sakti hai
ye jo tohfa hai kal ehsan bhi ho sakta hai
ab bhi aa sakta hai wo chand nazar dhyan rahe
nisf shab 'id ka e'lan bhi ho sakta hai
phir tere ba'd hasin chehre ko dekha to laga
'ishq to hijr ke dauran bhi ho sakta hai
rah mein 'ishq ki ma'lum hai 'sayyad-ahmad’
jaan ka mal ka nuqsan bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.