sang-o-shisha dar-o-diwar ke chehre dekhe
sang-o-shīsha dar-o-dīvār ke chehre dekhe
ham ne aksar rasan-o-dār ke chehre dekhe
ḳhud hathelī pe uThā.e hue apne sar ko
sar pe laTkī huī talvār ke chehre dekhe
apne be-chehra tabassum ko muqayyad kar ke
ham ne yūsuf ke ḳharīdār ke chehre dekhe
qatl ḳhud ko ka.ī qistoñ meñ kiyā hai ham ne
qātiloñ meñ bhī agar pyaar ke chehre dekhe
ham ne yādoñ ke dorāhe pe sadā meñ ghir kar
kabhī dushman kabhī ġham-ḳhvār ke chehre dekhe
tishnagī lab pe sameTe hue sahrā kī tarah
ham ne sāqī-e-tarahdār ke chehre dekhe
āftāboñ se bhare shahr meñ kajlā.e hue
ham ne phir sub.h ke āsār ke chehre dekhe
saade aurāq pe bikhrā ke ḳhud apnā hī vajūd
ham ne apne dil-e-be-kār ke chehre dekhe
sang-o-shisha dar-o-diwar ke chehre dekhe
hum ne aksar rasan-o-dar ke chehre dekhe
KHud hatheli pe uThae hue apne sar ko
sar pe laTki hui talwar ke chehre dekhe
apne be-chehra tabassum ko muqayyad kar ke
hum ne yusuf ke KHaridar ke chehre dekhe
qatl KHud ko kai qiston mein kiya hai hum ne
qatilon mein bhi agar pyar ke chehre dekhe
hum ne yaadon ke dorahe pe sada mein ghir kar
kabhi dushman kabhi gham-KHwar ke chehre dekhe
tishnagi lab pe sameTe hue sahra ki tarah
hum ne saqi-e-tarahdar ke chehre dekhe
aaftabon se bhare shahr mein kajlae hue
hum ne phir subh ke aasar ke chehre dekhe
sade auraq pe bikhra ke KHud apna hi wajud
hum ne apne dil-e-be-kar ke chehre dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.