sang par phul khilane ka hunar aata hai
sang par phuul khilāne kā hunar aatā hai
mujh ko ehsās jagāne kā hunar aatā hai
aa.ine mujh se ḳhafā rahte haiñ kyūñki mujh ko
sher meñ shakl dikhāne kā hunar aatā hai
kaun hai koī nahīñ rab ke alāva jis ko
aag ko phuul banāne kā hunar aatā hai
aañkh ko ḳhvāb dikhā.eñ sabhī lekin mujh ko
ḳhvāb ko ḳhvāb dikhāne kā hunar aatā hai
is tavassut se bhī pariyāñ mujhe pahchāntī haiñ
chāñd par rang jamāne kā hunar aatā hai
aañkh ke paar mire dekh nahīñ saktā koī
dard-e-dil mujh ko chhupāne kā hunar aatā hai
ye hunar mujh ko virāsat meñ milā purkhoñ se
dasht meñ ḳhaak uḌāne kā hunar aatā hai
maiñ samundar nahīñ ik abr huuñ 'shādāb' jise
dasht kī pyaas bujhāne kā hunar aatā hai
sang par phul khilane ka hunar aata hai
mujh ko ehsas jagane ka hunar aata hai
aaine mujh se KHafa rahte hain kyunki mujh ko
sher mein shakl dikhane ka hunar aata hai
kaun hai koi nahin rab ke alawa jis ko
aag ko phul banane ka hunar aata hai
aankh ko KHwab dikhaen sabhi lekin mujh ko
KHwab ko KHwab dikhane ka hunar aata hai
is tawassut se bhi pariyan mujhe pahchanti hain
chand par rang jamane ka hunar aata hai
aankh ke par mere dekh nahin sakta koi
dard-e-dil mujh ko chhupane ka hunar aata hai
ye hunar mujh ko wirasat mein mila purkhon se
dasht mein KHak uDane ka hunar aata hai
main samundar nahin ek abr hun 'shadab' jise
dasht ki pyas bujhane ka hunar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.