sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin
sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
sañgīñ nahīñ ki tāj-mahal marmarīñ nahīñ
kyā zalzale kā dev bhī zer-e-zamīñ nahīñ
vo din ga.e ki hote the murġhān-e-tar-navāz
ab kaun hai chaman meñ jo ġhuncha-nashīñ nahīñ
kis kā karishma hai ye tanavvo nigāh kā
aisā nahīñ koī jo kisī kā hasīñ nahīñ
ta.avīz mol laa.e haiñ sālosiyāñ se ham
as.hāb-e-e'tiqād haiñ sāhab-yaqīñ nahīñ
chhup-chhup ke vo bhī merī taraf dekhtā hai kyuuñ
inshā kī tarah maiñ to koī nāznīñ nahīñ
murġhān-e-ham-safīr kī umreñ darāz hoñ
merī bhī ik navā hai navā-e-navīñ nahīñ
ai ishq sab ko hai tirī yūrish kā intizār
jo jo qalam-raveñ tire zer-e-nagīñ nahīñ
sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin
kya zalzale ka dew bhi zer-e-zamin nahin
wo din gae ki hote the murghan-e-tar-nawaz
ab kaun hai chaman mein jo ghuncha-nashin nahin
kis ka karishma hai ye tanawwo nigah ka
aisa nahin koi jo kisi ka hasin nahin
tawiz mol lae hain salosiyan se hum
ashab-e-e'tiqad hain sahab-yaqin nahin
chhup-chhup ke wo bhi meri taraf dekhta hai kyun
insha ki tarah main to koi naznin nahin
murghan-e-ham-safir ki umren daraaz hon
meri bhi ek nawa hai nawa-e-nawin nahin
ai ishq sab ko hai teri yurish ka intizar
jo jo qalam-rawen tere zer-e-nagin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.