sangini-e-haalat se ab Darne laga hun
sangīnī-e-hālāt se ab Darne lagā huuñ
be-bāt sī har baat se ab Darne lagā huuñ
mujh banda-e-nāchīz pe itnā bhī karam kyā
har dam kī mudārāt se ab Darne lagā huuñ
anjāne meñ phir taaza koī gul na khilā de
bahke hue jazbāt se ab Darne lagā huuñ
kyā jaane ye kis shakl meñ kab sāmne aa jaa.eñ
duniyā kī ‘ināyāt se ab Darne lagā huuñ
allāh-re ye kashmakash-e-zīst kā aalam
ḳhud apne ḳhayālāt se ab Darne lagā huuñ
ye ilm kī ifrātī hai yā aql kā fuqdān
bachchoñ ke savālāt se ab Darne lagā huuñ
is khel meñ 'mahfūz' ye āñkheñ na chalī jaa.eñ
maiñ jalvoñ kī bahutāt se ab Darne lagā huuñ
sangini-e-haalat se ab Darne laga hun
be-baat si har baat se ab Darne laga hun
mujh banda-e-nachiz pe itna bhi karam kya
har dam ki mudaraat se ab Darne laga hun
anjaane mein phir taza koi gul na khila de
bahke hue jazbaat se ab Darne laga hun
kya jaane ye kis shakl mein kab samne aa jaen
duniya ki ‘inayat se ab Darne laga hun
allah-re ye kashmakash-e-zist ka aalam
KHud apne KHayalat se ab Darne laga hun
ye ilm ki ifraati hai ya aql ka fuqdan
bachchon ke sawalat se ab Darne laga hun
is khel mein 'mahfuz' ye aankhen na chali jaen
main jalwon ki bahutat se ab Darne laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.