Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sankaT mein hai jaan tumhaari basti mein

Manik Vishwakarma Navrang

sankaT mein hai jaan tumhaari basti mein

Manik Vishwakarma Navrang

MORE BYManik Vishwakarma Navrang

    sankaT meñ hai jaan tumhārī bastī meñ

    qātil hai darbān tumhārī bastī meñ

    ghuT ghuT kar jiinā paḌtā hai logoñ ko

    marnā hai āsān tumhārī bastī meñ

    chaubīsoñ ghanTe chaukanne rahte haiñ

    dīvāroñ ke kaan tumhārī bastī meñ

    maiḳhāne meñ bhiiḌ hamesha rahtī hai

    deval haiñ sunsān tumhārī bastī meñ

    paas paḌosī bhī ik-dūje se aksar

    rahte haiñ anjān tumhārī bastī meñ

    sachchā.ī pūchh parakh kam hotī hai

    biktā hai īmān tumhārī bastī meñ

    chintā meñ har shaḳhs dikhā.ī detā hai

    ġhā.eb hai muskān tumhārī bastī meñ

    laffāzoñ ko dekh adab mahfil meñ

    shā'ir haiñ hairān tumhārī bastī meñ

    Thokī jaatī hai taalī mithyā 'naurang'

    hotā hai gungān tumhārī bastī meñ

    sankaT mein hai jaan tumhaari basti mein

    qatil hai darban tumhaari basti mein

    ghuT ghuT kar jina paDta hai logon ko

    marna hai aasan tumhaari basti mein

    chaubison ghanTe chaukanne rahte hain

    diwaron ke kan tumhaari basti mein

    maiKHane mein bhiD hamesha rahti hai

    dewal hain sunsan tumhaari basti mein

    pas paDosi bhi ik-duje se aksar

    rahte hain anjaan tumhaari basti mein

    sachchai ki puchh parakh kam hoti hai

    bikta hai iman tumhaari basti mein

    chinta mein har shaKHs dikhai deta hai

    ghaeb hai muskan tumhaari basti mein

    laffazon ko dekh adab ki mahfil mein

    sha'ir hain hairan tumhaari basti mein

    Thoki jati hai tali mithya 'naurang'

    hota hai gungan tumhaari basti mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now