sannaTa aawaz bana hai
sannāTā āvāz banā hai
dard kā yuuñ iz.hār huā hai
yādoñ ne jab lī hai karvaT
zaḳhmoñ kā har band khulā hai
is nagrī kā rahne vaalā
qatl-e-vafā par ḳhush lagtā hai
ḳhat paḌhne meñ kaañp rahe ho
aisā is meñ kyā likkhā hai
barsoñ kī ulfat kā rishta
ik lamhe meñ TuuT gayā hai
yug yug se lamha bechāra
apnī manzil DhūñD rahā hai
'shauq' junūn-e-ishq salāmat
zanjīroñ kī kyā parvā hai
sannaTa aawaz bana hai
dard ka yun izhaar hua hai
yaadon ne jab li hai karwaT
zaKHmon ka har band khula hai
is nagri ka rahne wala
qatl-e-wafa par KHush lagta hai
KHat paDhne mein kanp rahe ho
aisa is mein kya likkha hai
barson ki ulfat ka rishta
ek lamhe mein TuT gaya hai
yug yug se lamha bechaara
apni manzil DhunD raha hai
'shauq' junun-e-ishq salamat
zanjiron ki kya parwa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.