sannaTe mere ghar mein bhi mehman bahut hain
sannāTe mire ghar meñ bhī mehmān bahut haiñ
tanhā.ī se ab vo bhī pareshān bahut haiñ
daulat kī tarah zaḳhm chhupā.e hue rakhnā
is shahr ke logoñ pe namakdān bahut haiñ
aivān laraz jā.eñge aa.egā vo din bhī
zehnoñ meñ machalte hue tūfān bahut haiñ
naqshe meñ kahāñ DhūñD rahe ho rah-e-āsāñ
himmat ho to sab rāste āsān bahut haiñ
jo log añdheroñ meñ banā lete haiñ jannat
vo din ke ujāloñ se pareshān bahut haiñ
vaise to zamāne kī ḳhabar rakhte haiñ ham log
afsos magar ḳhud se hī anjān bahut haiñ
ai 'hosh' mu'āfī bhī nahīñ un ko gavārā
aur apnī ḳhatā par bhī pashemān bahut haiñ
sannaTe mere ghar mein bhi mehman bahut hain
tanhai se ab wo bhi pareshan bahut hain
daulat ki tarah zaKHm chhupae hue rakhna
is shahr ke logon pe namakdan bahut hain
aiwan laraz jaenge aaega wo din bhi
zehnon mein machalte hue tufan bahut hain
naqshe mein kahan DhunD rahe ho rah-e-asan
himmat ho to sab raste aasan bahut hain
jo log andheron mein bana lete hain jannat
wo din ke ujalon se pareshan bahut hain
waise to zamane ki KHabar rakhte hain hum log
afsos magar KHud se hi anjaan bahut hain
ai 'hosh' mu'afi bhi nahin un ko gawara
aur apni KHata par bhi pasheman bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.