sannaTon ke jangal mein khoi hui KHushbu thi
sannāToñ ke jañgal meñ khoī huī ḳhushbū thī
aahaT jo sunī koī sahmī huī ḳhushbū thī
us ghar meñ gulāboñ se kuchh raag mahakte the
māhaul meñ jaadū thā gaatī huī ḳhushbū thī
guftār meñ phūloñ kī barsāt kā aalam thā
pahnā huā gulshan thā oḌhī huī ḳhushbū thī
Daalī se koī mausam jiyūñ TuuT ke gir jaa.e
be-rabt havāoñ meñ uḌtī huī ḳhushbū thī
tum ne kabhī sochā hai tum ne kabhī jaanā hai
kahte haiñ 'tapish' jis ko bikhrī huī ḳhushbū thī
sannaTon ke jangal mein khoi hui KHushbu thi
aahaT jo suni koi sahmi hui KHushbu thi
us ghar mein gulabon se kuchh rag mahakte the
mahaul mein jadu tha gati hui KHushbu thi
guftar mein phulon ki barsat ka aalam tha
pahna hua gulshan tha oDhi hui KHushbu thi
Dali se koi mausam jiyun TuT ke gir jae
be-rabt hawaon mein uDti hui KHushbu thi
tum ne kabhi socha hai tum ne kabhi jaana hai
kahte hain 'tapish' jis ko bikhri hui KHushbu thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.