sapne gae sukun bhi ulfat chali gai
sapne ga.e sukūn bhī ulfat chalī ga.ī
milne kī apne aap se fursat chalī ga.ī
merī to bolne kī hī 'ādat chalī ga.ī
tere hī saath saarī sharārat chalī ga.ī
ḳhushiyāñ thiiñ us se ghar meñ thiiñ āñgan meñ raunaqeñ
biTiyā ke saath ghar kī bhī barkat chalī ga.ī
chhūTā tumhārā saath to baaqī hī kyā bachā
dil meñ jo pal rahī thī vo hasrat chalī ga.ī
aate nahīñ faqīr na saa.il bhī āj-kal
maañ kyā ga.ī ki ghar kī rivāyat chalī ga.ī
mere suḳhan pe tū ne uThā.īñ jo uñgliyāñ
merī tamām 'umr kī mehnat chalī ga.ī
yuuñ bhī kabhī jahān meñ ifrāt meñ na thī
thoḌī bahut thī vo bhī sadāqat chalī ga.ī
hotī nahīñ hai she'r kī aamad bhī ab 'nazar'
tum kyā ga.e ki lafz kī tāqat chalī ga.ī
sapne gae sukun bhi ulfat chali gai
milne ki apne aap se fursat chali gai
meri to bolne ki hi 'adat chali gai
tere hi sath sari shararat chali gai
KHushiyan thin us se ghar mein thin aangan mein raunaqen
biTiya ke sath ghar ki bhi barkat chali gai
chhuTa tumhaara sath to baqi hi kya bacha
dil mein jo pal rahi thi wo hasrat chali gai
aate nahin faqir na sail bhi aaj-kal
man kya gai ki ghar ki riwayat chali gai
mere suKHan pe tu ne uThain jo ungliyan
meri tamam 'umr ki mehnat chali gai
yun bhi kabhi jahan mein ifraat mein na thi
thoDi bahut thi wo bhi sadaqat chali gai
hoti nahin hai she'r ki aamad bhi ab 'nazar'
tum kya gae ki lafz ki taqat chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.