sapnon ki dhaara mein bahta rahta hun
sapnoñ kī dhārā meñ bahtā rahtā huuñ
shabdoñ ke ākār badaltā rahtā huuñ
haal se mustaqbil se āñkheñ band kiye
maazī kī dahlīz pe sotā rahtā huuñ
un se terī shakl nahīñ miltī phir bhī
phūloñ se din-rāt jhagaḌtā rahtā huuñ
bāhar ghup añdhiyārā gūñge bahre log
apne aap se bāteñ kartā rahtā huuñ
maiñ huuñ sar se pā tak zahr-bharā 'sāgar'
ḳhud hī apne jism ko Dastā rahtā huuñ
sapnon ki dhaara mein bahta rahta hun
shabdon ke aakar badalta rahta hun
haal se mustaqbil se aankhen band kiye
mazi ki dahliz pe sota rahta hun
un se teri shakl nahin milti phir bhi
phulon se din-raat jhagaDta rahta hun
bahar ghup andhiyara gunge bahre log
apne aap se baaten karta rahta hun
main hun sar se pa tak zahr-bhara 'sagar'
KHud hi apne jism ko Dasta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.