sar-ba-kaf chalna paDa hai qatilon ke shahr mein
sar-ba-kaf chalnā paḌā hai qātiloñ ke shahr meñ
dil kī qīmat kuchh na thī in be-hisoñ ke shahr meñ
hosh-mandī kā labāda oḌh kar aaya thā maiñ
aur pāgal ho gayā huuñ pāgaloñ ke shahr meñ
sar chhupāne ke liye ik sā.ebāñ to chāhiye
bhīgte kab tak rahoge bārishoñ ke shahr meñ
sach kī qīmat kuchh nahīñ hai jhuuT ke bāzār meñ
aql kī vaq.at kahāñ hai sar-phiroñ ke shahr meñ
koī bhī dar vā nahīñ hotā yahāñ mere liye
mil na pā.eñgī panāheñ buz-diloñ ke shahr meñ
mujh ko bhī mahñgī baḌī hai in galī kūchoñ kī sair
dil gañvā aaya huuñ maiñ bhī gul-ruḳhoñ ke shahr meñ
baiTh mat jaanā kabhī 'fārūq' tum jī haar ke
DhūñDhnā hai hal koī is mushkiloñ ke shahr meñ
sar-ba-kaf chalna paDa hai qatilon ke shahr mein
dil ki qimat kuchh na thi in be-hison ke shahr mein
hosh-mandi ka labaada oDh kar aaya tha main
aur pagal ho gaya hun pagalon ke shahr mein
sar chhupane ke liye ek saeban to chahiye
bhigte kab tak rahoge barishon ke shahr mein
sach ki qimat kuchh nahin hai jhuT ke bazar mein
aql ki waqat kahan hai sar-phiron ke shahr mein
koi bhi dar wa nahin hota yahan mere liye
mil na paengi panahen buz-dilon ke shahr mein
mujh ko bhi mahngi baDi hai in gali kuchon ki sair
dil ganwa aaya hun main bhi gul-ruKHon ke shahr mein
baiTh mat jaana kabhi 'faruq' tum ji haar ke
DhunDhna hai hal koi is mushkilon ke shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.