sar-ba-sar pyas mein Duba nazar aata hai mujhe
sar-ba-sar pyaas meñ Duubā nazar aatā hai mujhe
jis jagah bhī koī dariyā nazar aatā hai mujhe
jām-e-jam se bhī sivā hai ye mirā jām-e-sifāl
kyā kahūñ is meñ bhī kyā kyā nazar aatā hai mujhe
kyā banegā mirī āñkhoñ kā mire shīshagaro
jo yahāñ jaisā hai vaisā nazar aatā hai mujhe
koī dekhe to dikhā.ūñ use manzar kā ma.aal
koī pūchhe to kahūñ kyā nazar aatā hai mujhe
kabhī hotā thā jo 'ġhālib' ke muqābil shab-o-roz
rāt-din ab vo tamāshā nazar aatā hai mujhe
sar-ba-sar pyas mein Duba nazar aata hai mujhe
jis jagah bhi koi dariya nazar aata hai mujhe
jam-e-jam se bhi siwa hai ye mera jam-e-sifal
kya kahun is mein bhi kya kya nazar aata hai mujhe
kya banega meri aankhon ka mere shishagaro
jo yahan jaisa hai waisa nazar aata hai mujhe
koi dekhe to dikhaun use manzar ka maal
koi puchhe to kahun kya nazar aata hai mujhe
kabhi hota tha jo 'ghaalib' ke muqabil shab-o-roz
raat-din ab wo tamasha nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.