sar-chashma-e-KHumar ne dekha na meri samt
sar-chashma-e-ḳhumār ne dekhā na merī samt
ya.anī ki chashm-e-yār ne dekhā na merī samt
maiñ gulsitān-e-dahr se bad-zan huuñ is liye
gul-hā-e-dil-bahār ne dekhā na merī samt
jis ke har ek ashk se dikhtā thā merā dil
us chashm-e-sogvār ne dekhā na merī samt
vābasta merī jaan thī us kī nigāh se
lekin sitam-shi.ār ne dekhā na merī samt
'kāshif' mujhe dilāse kī hājat thī jis ghaḌī
kyoñ mere ġham-gusār ne dekhā na merī samt
sar-chashma-e-KHumar ne dekha na meri samt
yani ki chashm-e-yar ne dekha na meri samt
main gulsitan-e-dahr se bad-zan hun is liye
gul-ha-e-dil-bahaar ne dekha na meri samt
jis ke har ek ashk se dikhta tha mera dil
us chashm-e-sogwar ne dekha na meri samt
wabasta meri jaan thi us ki nigah se
lekin sitam-shiar ne dekha na meri samt
'kashif' mujhe dilase ki hajat thi jis ghaDi
kyon mere gham-gusar ne dekha na meri samt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.