sar-e-ashufta par purkhon ki pagDi bandh rakkhi hai
sar-e-āshufta par purkhoñ kī pagḌī bāñdh rakkhī hai
kisī kā naam likh kar maiñ ne muTThī bāñdh rakkhī hai
koī to rāsta mujh ko dikhā.e merī manzil kā
mohabbat ne mirī āñkhoñ pe paTTī bāñdh rakkhī hai
bahut betāb hai ġharqāb hone ko vo dariyā meñ
mire hoñToñ pe ḳhushkī ne jo kashtī bāñdh rakkhī hai
kahīñ is baar bhī pyāsī tirī yādeñ na rah jaa.eñ
so āñkhoñ ne mirī palkoñ se naddī bāñdh rakkhī hai
tirī yādoñ ke jhoñkoñ se kahīñ khul kar na gir jaa.e
bichhaḌ ke tujh se dil par jo tasallī bāñdh rakkhī hai
zarā parda haTā kar khol de ab dast-e-nāzuk se
darīche ne nazar merī tarastī bāñdh rakkhī hai
tirī tārīf ke pul bāñdhne meñ hai magan dhaḌkan
havā be-tābiyoñ ne dil meñ kaisī bāñdh rakkhī hai
anā merī banā Daale na us ko maut kā phandā
mire pairoñ meñ tū ne jo ye rassī bāñdh rakkhī hai
safar meñ dūsre raḳht-e-safar aate haiñ kab tak kaam
so ab un kī duāoñ kī ye gaThrī bāñdh rakhī hai
añdhere dum dabā.e phir rahe haiñ bad-havāsī meñ
havā mere charāġhoñ ne kuchh aisī bāñdh rakkhī hai
zamīn-e-dil pe merī ik parinda aisā utrā hai
ki jis ne quvvat-e-parvāz merī bāñdh rakkhī hai
nahīñ 'shahbāz' mujh se aag kī lapTeñ nahīñ lipTīñ
badan se maiñ ne apnī āp-bītī bāñdh rakkhī hai
sar-e-ashufta par purkhon ki pagDi bandh rakkhi hai
kisi ka nam likh kar main ne muTThi bandh rakkhi hai
koi to rasta mujh ko dikhae meri manzil ka
mohabbat ne meri aankhon pe paTTi bandh rakkhi hai
bahut betab hai gharqab hone ko wo dariya mein
mere honTon pe KHushki ne jo kashti bandh rakkhi hai
kahin is bar bhi pyasi teri yaaden na rah jaen
so aankhon ne meri palkon se naddi bandh rakkhi hai
teri yaadon ke jhonkon se kahin khul kar na gir jae
bichhaD ke tujh se dil par jo tasalli bandh rakkhi hai
zara parda haTa kar khol de ab dast-e-nazuk se
dariche ne nazar meri tarasti bandh rakkhi hai
teri tarif ke pul bandhne mein hai magan dhaDkan
hawa be-tabiyon ne dil mein kaisi bandh rakkhi hai
ana meri bana Dale na us ko maut ka phanda
mere pairon mein tu ne jo ye rassi bandh rakkhi hai
safar mein dusre raKHt-e-safar aate hain kab tak kaam
so ab un ki duaon ki ye gaThri bandh rakhi hai
andhere dum dabae phir rahe hain bad-hawasi mein
hawa mere charaghon ne kuchh aisi bandh rakkhi hai
zamin-e-dil pe meri ek parinda aisa utra hai
ki jis ne quwwat-e-parwaz meri bandh rakkhi hai
nahin 'shahbaz' mujh se aag ki lapTen nahin lipTin
badan se main ne apni aap-biti bandh rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.