sar-e-bazar sauda ho raha hai
sar-e-bāzār saudā ho rahā hai
lahū paanī se sastā ho rahā hai
havā chalne lagī hai nafratoñ kī
tabhī itnā ḳhasārā ho rahā hai
bulandī meñ hai parcham mulk kā yuuñ
jahāñ meñ naam ūñchā ho rahā hai
ġharīboñ ko milī hai chhat yahāñ pe
suno yaaro dikhāvā ho rahā hai
nazar se duur thā kal tak jahāñ meñ
mohabbat meñ hamārā ho rahā hai
tumhārā kyā hamārā kyā yahāñ pe
sabhī kuchh to dikhāvā ho rahā hai
zuleḳhā sī mohabbat kaun paayā
jo pyāsā hai vo dariyā ho rahā hai
nahīñ suntā kisī kī koī 'āqib'
burā yaaro zamāna ho rahā hai
sar-e-bazar sauda ho raha hai
lahu pani se sasta ho raha hai
hawa chalne lagi hai nafraton ki
tabhi itna KHasara ho raha hai
bulandi mein hai parcham mulk ka yun
jahan mein nam uncha ho raha hai
gharibon ko mili hai chhat yahan pe
suno yaro dikhawa ho raha hai
nazar se dur tha kal tak jahan mein
mohabbat mein hamara ho raha hai
tumhaara kya hamara kya yahan pe
sabhi kuchh to dikhawa ho raha hai
zuleKHa si mohabbat kaun paya
jo pyasa hai wo dariya ho raha hai
nahin sunta kisi ki koi 'aqib'
bura yaro zamana ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.