sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Darti hun
sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Dartī huuñ
ki maiñ ḳhud par mohabbat kī nazar hone se Dartī huuñ
bachānā chāhtī huuñ us ko sūraj kī tamāzat se
magar maiñ us ke raste kā shajar hone se Dartī huuñ
kabhī us ke ḳhayāloñ meñ nahīñ jaatī thī dariyā par
aur ab ye vaqt aayā hai ki ghar hone se Dartī huuñ
agar ye sach hai ḳhushbū aur mohabbat chhup nahīñ sakte
to kyuuñ apnī mohabbat kī ḳhabar hone se Dartī huuñ
maiñ apnī zaat meñ bhīge paroñ kā bojh huuñ shāyad
kisī be-bāl-o-par ke bāl-o-par hone se Dartī huuñ
mujhe dushman kā bhī dil toḌnā achchhā nahīñ lagtā
kisī kī bad-duāoñ kā asar hone se Dartī huuñ
bhalā tashbīh se rutba mirā kyuuñ kam kare koī
'qamar' huuñ is liye rashk-e-qamar hone se Dartī huuñ
sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Darti hun
ki main KHud par mohabbat ki nazar hone se Darti hun
bachana chahti hun us ko suraj ki tamazat se
magar main us ke raste ka shajar hone se Darti hun
kabhi us ke KHayalon mein nahin jati thi dariya par
aur ab ye waqt aaya hai ki ghar hone se Darti hun
agar ye sach hai KHushbu aur mohabbat chhup nahin sakte
to kyun apni mohabbat ki KHabar hone se Darti hun
main apni zat mein bhige paron ka bojh hun shayad
kisi be-baal-o-par ke baal-o-par hone se Darti hun
mujhe dushman ka bhi dil toDna achchha nahin lagta
kisi ki bad-duaon ka asar hone se Darti hun
bhala tashbih se rutba mera kyun kam kare koi
'qamar' hun is liye rashk-e-qamar hone se Darti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.