sar-e-falak hai ki zer-e-zamin pata na chala
sar-e-falak hai ki zer-e-zamīñ pata na chalā
tirā vajūd to hai par kahīñ pata na chalā
kahāñ chale ga.e vo boriyā-nashīñ āḳhir
tumheñ to kuchh bhī ai masnad-nashīñ pata na chalā
falak kā bojh zamīñ ne uThā liyā lekin
falak se bhī hai uThī ye zamīñ pata na chalā
tumhāre kūche tak aaya thā ek āvāra
phir us ke baa'd to us kā kahīñ pata na chalā
vo terā dar thā ki kāshī ki ḳhāna-e-kā’ba
kahāñ jhukā.ī thī maiñ ne jabīñ pata na chalā
'ajīb thī vo shab-e-vasl bhī 'nazar' jis meñ
vo mere paas bhī thā yā nahīñ pata na chalā
saḌak kī bhiiḌ ne is tarh mujh ko nochā thā
kahāñ thī jeb kahāñ āstīñ pata na chalā
sar-e-falak hai ki zer-e-zamin pata na chala
tera wajud to hai par kahin pata na chala
kahan chale gae wo boriya-nashin aaKHir
tumhein to kuchh bhi ai masnad-nashin pata na chala
falak ka bojh zamin ne uTha liya lekin
falak se bhi hai uThi ye zamin pata na chala
tumhaare kuche tak aaya tha ek aawara
phir us ke ba'd to us ka kahin pata na chala
wo tera dar tha ki kashi ki KHana-e-ka’ba
kahan jhukai thi main ne jabin pata na chala
'ajib thi wo shab-e-wasl bhi 'nazar' jis mein
wo mere pas bhi tha ya nahin pata na chala
saDak ki bhiD ne is tarh mujh ko nocha tha
kahan thi jeb kahan aastin pata na chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.