sar-e-guftar KHaslat bolti hai
sar-e-guftār ḳhaslat boltī hai
jabhī merī sharāfat boltī hai
udāsī ġham aziyyat hai ye duniyā
tū is ko ḳhūb-sūrat boltī hai
tabhī hai lutf us kī shā'irī meñ
fasāhat aur balāġhat boltī hai
karegā qaum ko barbād ik din
yahī to aksariyyat boltī hai
vo jab jab jhuuT kah detī hai yaaro
vo tab tab ḳhūb-sūrat boltī hai
kisī kā doġhlā-pan boltā hai
kisī kī shān-o-shaukat boltī hai
karūñ 'afnān' us par jaan qurbān
suḳhan meñ jo latāfat boltī hai
sar-e-guftar KHaslat bolti hai
jabhi meri sharafat bolti hai
udasi gham aziyyat hai ye duniya
tu is ko KHub-surat bolti hai
tabhi hai lutf us ki sha'iri mein
fasahat aur balaghat bolti hai
karega qaum ko barbaad ek din
yahi to aksariyyat bolti hai
wo jab jab jhuT kah deti hai yaro
wo tab tab KHub-surat bolti hai
kisi ka doghla-pan bolta hai
kisi ki shan-o-shaukat bolti hai
karun 'afnan' us par jaan qurban
suKHan mein jo latafat bolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.