sar-e-gulshan bahaar aane ke din hain
sar-e-gulshan bahār aane ke din haiñ
yahī to ishq farmāne ke din haiñ
nahīñ samjhoge tum ḳhvāb-e-mohabbat
abhī tum par shabāb aane ke din haiñ
lagāo mat abhī ulfat kā sadma
tumhāre din to muskāne ke din haiñ
ye dil kahtā hai tum ko bhuul jā.ūñ
nazar kahtī hai apnāne ke din haiñ
havā meñ ḳhushbueñ aatī haiñ terī
hamāre zaḳhm sahlāne ke din haiñ
jise dekho vahī hai ḳhud meñ khoyā
kahāñ 'dildār' bahlāne ke din haiñ
sar-e-gulshan bahaar aane ke din hain
yahi to ishq farmane ke din hain
nahin samjhoge tum KHwab-e-mohabbat
abhi tum par shabab aane ke din hain
lagao mat abhi ulfat ka sadma
tumhaare din to muskane ke din hain
ye dil kahta hai tum ko bhul jaun
nazar kahti hai apnane ke din hain
hawa mein KHushbuen aati hain teri
hamare zaKHm sahlane ke din hain
jise dekho wahi hai KHud mein khoya
kahan 'dildar' bahlane ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.