sar-e-KHayal hai ye kaun agar nahin hun main
sar-e-ḳhayāl hai ye kaun agar nahīñ huuñ maiñ
jidhar talāsh rahe ho udhar nahīñ huuñ maiñ
ye taur-e-justujū thoḌā badal ke dekho na
maiñ aur kuchh bhī huuñ ik jism bhar nahīñ huuñ maiñ
ye kis kī shakl merī zaat par numāyāñ hai
mirī tarah to lage hai magar nahīñ huuñ maiñ
thakan safar kī sameTe hue huuñ paañv meñ
ye aur baat ki zer-e-safar nahīñ huuñ maiñ
guzarte dam zarā shā.istagī barat mujh se
maiñ ek zāt-e-bashar huuñ ki dar nahīñ huuñ maiñ
maiñ sochtā huuñ ki ab ishq hī karūñ tujh se
bahut dinoñ se kisī kaam par nahīñ huuñ maiñ
shab-e-javānī huuñ aisā na ho guzar jā.ūñ
so mujh ko jī lo ki phir umr bhar nahīñ huuñ maiñ
sar-e-KHayal hai ye kaun agar nahin hun main
jidhar talash rahe ho udhar nahin hun main
ye taur-e-justuju thoDa badal ke dekho na
main aur kuchh bhi hun ek jism bhar nahin hun main
ye kis ki shakl meri zat par numayan hai
meri tarah to lage hai magar nahin hun main
thakan safar ki sameTe hue hun panw mein
ye aur baat ki zer-e-safar nahin hun main
guzarte dam zara shaistagi barat mujh se
main ek zat-e-bashar hun ki dar nahin hun main
main sochta hun ki ab ishq hi karun tujh se
bahut dinon se kisi kaam par nahin hun main
shab-e-jawani hun aisa na ho guzar jaun
so mujh ko ji lo ki phir umr bhar nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.