sar-e-mahfil tamasha apna banwana nahin achchha
sar-e-mahfil tamāshā apnā banvānā nahīñ achchhā
jahāñ izzat na miltī ho vahāñ jaanā nahīñ achchhā
tire aane se maiñ ḳhush huuñ tire jaane se afsurda
tirā aanā to achchhā hai magar jaanā nahīñ achchhā
hamīñ se kahte ho dīvāngī achchhī nahīñ hotī
kabhī zulfoñ se bhī kah do ki bal khānā nahīñ achchhā
maza to tab hai jab puurī tarah se hosh kho baiThe
jise apnī ḳhabar ho aisā dīvāna nahīñ achchhā
koī pyāsā taḌaptā hai koī sairāb hotā hai
are saaqī tirā dastūr-e-mai-ḳhāna nahīñ achchhā
sar-e-mahfil tamasha apna banwana nahin achchha
jahan izzat na milti ho wahan jaana nahin achchha
tere aane se main KHush hun tere jaane se afsurda
tera aana to achchha hai magar jaana nahin achchha
hamin se kahte ho diwangi achchhi nahin hoti
kabhi zulfon se bhi kah do ki bal khana nahin achchha
maza to tab hai jab puri tarah se hosh kho baiThe
jise apni KHabar ho aisa diwana nahin achchha
koi pyasa taDapta hai koi sairab hota hai
are saqi tera dastur-e-mai-KHana nahin achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.