sar-e-mahfil tamasha ho gaya hai
sar-e-mahfil tamāshā ho gayā hai
dil-e-betāb rusvā ho gayā hai
na thī kuchh aabrū āñkhoñ meñ jis kī
vo qatra aaj dariyā ho gayā hai
liye phirtā thā dāman meñ qayāmat
tujhe dīvāne ab kyā ho gayā hai
ruḳh-e-tābāñ ko tere jab bhī dekhā
nazar se chāñd mailā ho gayā hai
jahāñ sūraj ugā kartā thā aksar
usī ghar meñ añdherā ho gayā hai
kiyā hai jo adā us āstāñ par
vahī maqbūl sajda ho gayā hai
shuā-e-fikr kī tābāniyoñ se
nazar meñ husn paidā ho gayā hai
yahāñ 'mas.ūd' ik muddat se ab to
ḳhayāl-e-yār tanhā ho gayā hai
sar-e-mahfil tamasha ho gaya hai
dil-e-betab ruswa ho gaya hai
na thi kuchh aabru aankhon mein jis ki
wo qatra aaj dariya ho gaya hai
liye phirta tha daman mein qayamat
tujhe diwane ab kya ho gaya hai
ruKH-e-taban ko tere jab bhi dekha
nazar se chand maila ho gaya hai
jahan suraj uga karta tha aksar
usi ghar mein andhera ho gaya hai
kiya hai jo ada us aastan par
wahi maqbul sajda ho gaya hai
shua-e-fikr ki tabaniyon se
nazar mein husn paida ho gaya hai
yahan 'masud' ek muddat se ab to
KHayal-e-yar tanha ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.