sar-e-rah koi mujhe mila ki naqab ruKH se uTha diya
sar-e-rah koi mujhe mila ki naqab ruKH se uTha diya
Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
MORE BYSufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
sar-e-rāh koī mujhe milā ki naqāb ruḳh se uThā diyā
ik ajiib sho.ala-e-husn thā dil-o-jāñ meñ aag lagā diyā
vo taḌaptā mujh ko yuuñ chhoḌ kar mujhe hairatoñ meñ vo Daal kar
vo kidhar se aaya kahāñ gayā na to naam aur na patā diyā
hai ragoñ meñ ḳhuun yā aag hai ye ajiib tarah kī laag hai
vo zabāñ pe ishq kā raag hai ki jo sāz-e-dil ne sikhā diyā
mire dil kā jal gayā āshiyāñ mirī chashm-e-nam hai dhuāñ dhuāñ
use DhūñDhtā huuñ yahāñ vahāñ mire dil ko jis ne jalā diyā
shab-o-roz us kā huzūr hai jo sarāpā nuur hī nuur hai
ik ajiib kaif-o-surūr hai ki nazar kā jaam pilā diyā
huā jab bhī vo mire rū-ba-rū mirī āñkheñ karne lagīñ vuzū
tabhī chashm-e-'sājid'-e-kam-nazar se hijāb saare uThā diyā
sar-e-rah koi mujhe mila ki naqab ruKH se uTha diya
ek ajib shoala-e-husn tha dil-o-jaan mein aag laga diya
wo taDapta mujh ko yun chhoD kar mujhe hairaton mein wo Dal kar
wo kidhar se aaya kahan gaya na to nam aur na pata diya
hai ragon mein KHun ya aag hai ye ajib tarah ki lag hai
wo zaban pe ishq ka rag hai ki jo saz-e-dil ne sikha diya
mere dil ka jal gaya aashiyan meri chashm-e-nam hai dhuan dhuan
use DhunDhta hun yahan wahan mere dil ko jis ne jala diya
shab-o-roz us ka huzur hai jo sarapa nur hi nur hai
ek ajib kaif-o-surur hai ki nazar ka jam pila diya
hua jab bhi wo mere ru-ba-ru meri aankhen karne lagin wuzu
tabhi chashm-e-'sajid'-e-kam-nazar se hijab sare uTha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.