sar-e-shaKH-sar gulab hain ye jo KHwab hain
sar-e-shāḳh-sār gulāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
kabhī ḳhār-zār-e-azāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
tirī nisbateñ hoñ nasīb meñ to chamak uTheñ
mirī aarzū kā nisāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
rahe qalb-e-ḳhāk meñ un kā nam baḌī der tak
sar-e-regzār-e-sahāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
mirī kul kamā.ī hai fikr-o-sher kī raushnī
yahī mere ajr-o-savāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
tire nutq ne jo raqam kiye the varq varq
ye vahī hurūf-e-kitāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
tire lams-e-jāñ ke surūr kī ye kashīd haiñ
so mujhe to jām-e-sharāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
na to vasl-e-fasl-e-bahār ho na hī tū mile
to maiñ sochtā huuñ sarāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
tirī yād-tāroñ se jagmagātī ridā-e-shab
usī āsmāñ ke shahāb haiñ ye jo ḳhvāb haiñ
sar-e-shaKH-sar gulab hain ye jo KHwab hain
kabhi KHar-zar-e-azab hain ye jo KHwab hain
teri nisbaten hon nasib mein to chamak uThen
meri aarzu ka nisab hain ye jo KHwab hain
rahe qalb-e-KHak mein un ka nam baDi der tak
sar-e-regzar-e-sahab hain ye jo KHwab hain
meri kul kamai hai fikr-o-sher ki raushni
yahi mere ajr-o-sawab hain ye jo KHwab hain
tere nutq ne jo raqam kiye the warq warq
ye wahi huruf-e-kitab hain ye jo KHwab hain
tere lams-e-jaan ke surur ki ye kashid hain
so mujhe to jam-e-sharab hain ye jo KHwab hain
na to wasl-e-fasl-e-bahaar ho na hi tu mile
to main sochta hun sarab hain ye jo KHwab hain
teri yaad-taron se jagmagati rida-e-shab
usi aasman ke shahab hain ye jo KHwab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.