sar jaziron ke phir se ubharne lage
sar jazīroñ ke phir se ubharne lage
vo jo paanī chaḌhe the utarne lage
ab kisī dost se koī shikva nahīñ
vaqt ke saath sab zaḳhm bharne lage
ham ne maazī meñ Thukrā.ī haiñ manzileñ
rāste meñ kahāñ ham Thaharne lage
mauj-dar-mauj ḳhushkī thī pesh-e-nazar
shor andar ke dariyā bhī karne lage
aise kyā jurm sarzad hue arz par
log apne hī saa.e se Darne lage
aaj phir aap lāġhar haiñ sūraj miyāñ
dhuup meñ log phir se ThiThurne lage
kaun se mansaboñ kī mohabbat meñ ham
apne mansab se nīche utarne lage
tum ne sahrā meñ chhoḌe the jo naqsh-e-pā
aaj vo āñdhiyoñ meñ bikharne lage
sar jaziron ke phir se ubharne lage
wo jo pani chaDhe the utarne lage
ab kisi dost se koi shikwa nahin
waqt ke sath sab zaKHm bharne lage
hum ne mazi mein Thukrai hain manzilen
raste mein kahan hum Thaharne lage
mauj-dar-mauj KHushki thi pesh-e-nazar
shor andar ke dariya bhi karne lage
aise kya jurm sarzad hue arz par
log apne hi sae se Darne lage
aaj phir aap laghar hain suraj miyan
dhup mein log phir se ThiThurne lage
kaun se mansabon ki mohabbat mein hum
apne mansab se niche utarne lage
tum ne sahra mein chhoDe the jo naqsh-e-pa
aaj wo aandhiyon mein bikharne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.