sar jhuka de jis jagah par tera diwana abhi
sar jhuka de jis jagah par tera diwana abhi
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
sar jhukā de jis jagah par terā dīvāna abhī
but-kada bhī ho to ban jaa.e ḳhudā-ḳhāna abhī
dil meñ baaqī hai agar jazb-e-kalīmāna abhī
dekhiyegā har jagah par nūr-e-jānāna abhī
vo nazar aate haiñ mujh ko be-hijābāna abhī
jazb-e-dil rahne de kuchh din aur dīvāna abhī
mā-sivā se be-ḳhabar hai aur begāna abhī
justujū meñ terī sar-gardāñ hai dīvāna abhī
kyoñ na har lamha fuzūñ ho josh-e-rindāna abhī
mil rahī hai un se paimāna-ba-paimāna abhī
kah rahā hai mast ho kar terā mastāna abhī
raqs meñ sāġhar hai gardish meñ hai paimāna abhī
ik kiran jalve kī tere rū-e-jānāna abhī
kar ga.ī hosh-o-ḳhirad se mujh ko begāna abhī
hosh meñ apne hai kuchh kuchh terā dīvāna abhī
ai nigāh-e-nāz koī aur paimāna abhī
tere hāthoñ se agar milte raheñ jām-o-subū
har qadam par Daal deñ buniyād-e-mai-ḳhāna abhī
tere hī jalvoñ se haiñ māmūr ye dair-o-haram
ka.aba dekhā dekh aa.e jā ke but-ḳhāna abhī
dil to pahle hī se un ko de chuke haiñ a 'shafī.a'
ek baaqī rah gayā hai sar kā nazrāna abhī
sar jhuka de jis jagah par tera diwana abhi
but-kada bhi ho to ban jae KHuda-KHana abhi
dil mein baqi hai agar jazb-e-kalimana abhi
dekhiyega har jagah par nur-e-jaanana abhi
wo nazar aate hain mujh ko be-hijabana abhi
jazb-e-dil rahne de kuchh din aur diwana abhi
ma-siwa se be-KHabar hai aur begana abhi
justuju mein teri sar-gardan hai diwana abhi
kyon na har lamha fuzun ho josh-e-rindana abhi
mil rahi hai un se paimana-ba-paimana abhi
kah raha hai mast ho kar tera mastana abhi
raqs mein saghar hai gardish mein hai paimana abhi
ek kiran jalwe ki tere ru-e-jaanana abhi
kar gai hosh-o-KHirad se mujh ko begana abhi
hosh mein apne hai kuchh kuchh tera diwana abhi
ai nigah-e-naz koi aur paimana abhi
tere hathon se agar milte rahen jam-o-subu
har qadam par Dal den buniyaad-e-mai-KHana abhi
tere hi jalwon se hain mamur ye dair-o-haram
kaba dekha dekh aae ja ke but-KHana abhi
dil to pahle hi se un ko de chuke hain a 'shafia'
ek baqi rah gaya hai sar ka nazrana abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.