sar jhuka kar shah ke darbar mein
sar jhukā kar shaah ke darbār meñ
chhed ham ne sau kiye dastār meñ
zindagānī jaisī ye anmol shai
kaaT dī hai hasrat-e-be-kār meñ
dāmanoñ meñ bharte haiñ mahrūmiyāñ
le ke ḳhālī jeb ham bāzār meñ
surḳhiyāñ ban kar ugaltī hai lahū
ādmiyyat shaam ke aḳhbār meñ
sar ko Takrāte rahe ham 'umr-bhar
dar koī niklā nahīñ dīvār meñ
jis qadar bhartā rahā ūñchī uḌaan
aadmī girtā gayā me'yār meñ
sab parinde kar ga.e hijrat 'nabīl'
kaun baiThe sāya-e-ashjār meñ
sar jhuka kar shah ke darbar mein
chhed hum ne sau kiye dastar mein
zindagani jaisi ye anmol shai
kaT di hai hasrat-e-be-kar mein
damanon mein bharte hain mahrumiyan
le ke KHali jeb hum bazar mein
surKHiyan ban kar ugalti hai lahu
aadmiyyat sham ke aKHbar mein
sar ko Takraate rahe hum 'umr-bhar
dar koi nikla nahin diwar mein
jis qadar bharta raha unchi uDan
aadmi girta gaya me'yar mein
sab parinde kar gae hijrat 'nabil'
kaun baiThe saya-e-ashjar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.