sar jhukata nahin kabhi shisha
sar jhukātā nahīñ kabhī shīsha
ham se kartā hai sar-kashī shīsha
kurra-e-nār hai mirā siina
shīsha-e-dil hai ātishī shīsha
dil meñ rakkhā thā us ko dil bhī gayā
uḌ ga.ī le ke ik parī shīsha
duḳhtar-e-raz pe zor-e-ālam hai
is parī se huā parī shīsha
ḳhuun rotā hai qahqahe ke saath
ḳhuub hañstā hai ye hañsī shīsha
zaḳhm-e-dil kā jo phaT gayā añgūr
ho.egā mai kā mustajī shīsha
yaad aatā hai mujh ko dil ai 'mehr'
dekhtā huuñ maiñ jab kabhī shīsha
sar jhukata nahin kabhi shisha
hum se karta hai sar-kashi shisha
kurra-e-nar hai mera sina
shisha-e-dil hai aatishi shisha
dil mein rakkha tha us ko dil bhi gaya
uD gai le ke ek pari shisha
duKHtar-e-raz pe zor-e-alam hai
is pari se hua pari shisha
KHun rota hai qahqahe ke sath
KHub hansta hai ye hansi shisha
zaKHm-e-dil ka jo phaT gaya angur
hoega mai ka mustaji shisha
yaad aata hai mujh ko dil ai 'mehr'
dekhta hun main jab kabhi shisha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.