sar kaT ke kar dijiye qatil ke hawale
sar kaaT ke kar dījiye qātil ke havāle
himmat mirī kahtī hai ki ehsān-e-balā le
har qatra-e-ḳhūñ soz-e-darūñ se hai ik aḳhgar
jallād kī talvār meñ paḌ jā.eñge chhāle
nādān na ho aql atā kī hai ḳhudā ne
yūsuf kī tarah tum ko koī bech na Daale
hastī kī asīrī se sharar se haiñ sivā tañg
chhūTe to idhar phir ke nahīñ dekhne vaale
sālik ko yahī jaade se āvāz hai aatī
pāmāl jo ho raah vo manzil kī nikāle
sayyād chaman hī meñ kare murġh-e-chaman zab.h
labrez lahū se hī daraḳhtoñ ke hoñ thāle
sar kaT ke kar dijiye qatil ke hawale
himmat meri kahti hai ki ehsan-e-bala le
har qatra-e-KHun soz-e-darun se hai ek aKHgar
jallad ki talwar mein paD jaenge chhaale
nadan na ho aql ata ki hai KHuda ne
yusuf ki tarah tum ko koi bech na Dale
hasti ki asiri se sharar se hain siwa tang
chhuTe to idhar phir ke nahin dekhne wale
salik ko yahi jade se aawaz hai aati
pamal jo ho rah wo manzil ki nikale
sayyaad chaman hi mein kare murgh-e-chaman zabh
labrez lahu se hi daraKHton ke hon thaale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.