sar-kashi jab bhi qalam-kar mein aa jati hai
sar-kashī jab bhī qalam-kār meñ aa jaatī hai
ik musībat liye sarkār meñ aa jaatī hai
jab baġhāvat pe bhī in.aam diye jaate haiñ
sar jhukā.e hue darbār meñ aa jaatī hai
surḳh-rūī-o-bulandī bhī atā hotī hai
jab sharī.at kisī kirdār meñ aa jaatī hai
terī ulfat kī qasam ek tire aane se
zindagī lauT ke bīmār meñ aa jaatī hai
shā.irī niiñd uḌātī hai suḳhan-sāzoñ kī
aur phir ādat-o-atvār meñ aa jaatī hai
jazba-e-ishq ubhartā hai zuleḳhāoñ meñ
justujū misr ke bāzār meñ aa jaatī hai
ye hukūmat ke bikharne kā sabab hai 'dānish'
be-hisī jab kisī sarkār meñ aa jaatī hai
sar-kashi jab bhi qalam-kar mein aa jati hai
ek musibat liye sarkar mein aa jati hai
jab baghawat pe bhi inam diye jate hain
sar jhukae hue darbar mein aa jati hai
surKH-rui-o-bulandi bhi ata hoti hai
jab shariat kisi kirdar mein aa jati hai
teri ulfat ki qasam ek tere aane se
zindagi lauT ke bimar mein aa jati hai
shairi nind uDati hai suKHan-sazon ki
aur phir aadat-o-atwar mein aa jati hai
jazba-e-ishq ubharta hai zuleKHaon mein
justuju misr ke bazar mein aa jati hai
ye hukumat ke bikharne ka sabab hai 'danish'
be-hisi jab kisi sarkar mein aa jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.