sar ke baalon par sapedi ka asar baDhta gaya
sar ke bāloñ par sapedī kā asar baḌhtā gayā
zulmateñ chhaTtī ga.iiñ nūr-e-sahar baḌhtā gayā
rafta rafta dil pe fitrat kā asar baḌhtā gayā
jaise jaise din ga.e marne se Dar baḌhtā gayā
rāz-e-hastī khul chukā thā maiñ thā aur masti-e-shauq
maut jis jis ruḳh haTī maiñ bhī udhar baḌhtā gayā
dair-o-ka.aba tūr-o-mahshar meñ kise thā imtiyāz
tum jidhar baḌhte ga.e dil bhī udhar baḌhtā gayā
sar ke baalon par sapedi ka asar baDhta gaya
zulmaten chhaTti gain nur-e-sahar baDhta gaya
rafta rafta dil pe fitrat ka asar baDhta gaya
jaise jaise din gae marne se Dar baDhta gaya
raaz-e-hasti khul chuka tha main tha aur masti-e-shauq
maut jis jis ruKH haTi main bhi udhar baDhta gaya
dair-o-kaba tur-o-mahshar mein kise tha imtiyaz
tum jidhar baDhte gae dil bhi udhar baDhta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.