sar ko aawaz se wahshat hi sahi
sar ko āvāz se vahshat hī sahī
aur vahshat meñ aziyyat hī sahī
ḳhāk-zādī tire ushshāq bahut
maiñ tirī yaad se ġhārat hī sahī
vo kahāñ haiñ ki jo maslūb na the
merī miTTī meñ baġhāvat hī sahī
āh-o-āhañg-o-ihānat ke kanār
ai mirī pyaas pe tohmat hī sahī
ḳhud se mīsāq ġhalat thā merā
ai tire ḳhvāb zarūrat hī sahī
ishq ai ishq azādār huuñ maiñ
dosh pe bār-e-hazīmat hī sahī
phir kisī ḳhvāb kī bai.at kar leñ
phir kisī dukh kī tilāvat hī sahī
ek ḳhvāhish ki jise sīñch sakeñ
rā.igānī kī riyāzat hī sahī
ham se kuchh aur to kyā honā hai
ik tire ġham kī hifāzat hī sahī
lauTte haiñ ki bulātā hai koī
bārish-e-sañg-e-malāmat hī sahī
TūTte haiñ ki nasha TūTtā hai
ḳhud se milne meñ aziyyat hī sahī
ab kisī aur kī ḳhvāhish hī kahāñ
ab tire hijr se fursat hī sahī
kāġhzī shahr uḌe jaate haiñ vo
āsmānoñ kī rifāqat hī sahī
sar ko aawaz se wahshat hi sahi
aur wahshat mein aziyyat hi sahi
KHak-zadi tere ushshaq bahut
main teri yaad se ghaarat hi sahi
wo kahan hain ki jo maslub na the
meri miTTi mein baghawat hi sahi
aah-o-ahang-o-ihanat ke kanar
ai meri pyas pe tohmat hi sahi
KHud se misaq ghalat tha mera
ai tere KHwab zarurat hi sahi
ishq ai ishq azadar hun main
dosh pe bar-e-hazimat hi sahi
phir kisi KHwab ki baiat kar len
phir kisi dukh ki tilawat hi sahi
ek KHwahish ki jise sinch saken
raigani ki riyazat hi sahi
hum se kuchh aur to kya hona hai
ek tere gham ki hifazat hi sahi
lauTte hain ki bulata hai koi
barish-e-sang-e-malamat hi sahi
TuTte hain ki nasha TuTta hai
KHud se milne mein aziyyat hi sahi
ab kisi aur ki KHwahish hi kahan
ab tere hijr se fursat hi sahi
kaghzi shahr uDe jate hain wo
aasmanon ki rifaqat hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.