sar ko nausha ke mere shah ne bandha sehra
sar ko nausha ke mire shaah ne bāñdhā sehrā
sūra-e-nūr kā dikhlātā hai jalva sehrā
riish yāqūb ne rakkhī hai ruḳh-e-yūsuf par
chashm-e-bad-dūr ki hai zulf-e-zuleḳhā sehrā
bāġh-e-ulfat se hasīnoñ ne jo kaliyāñ biinī
us parī ke liye pariyoñ ne banāyā sehrā
jadvaleñ sone kī yāqūt raqam ne khīñchī
yā hai mus.haf pe sar-e-lauh mutallā sehrā
jalva-e-tūr kā muusī ko gumāñ ho jaatā
mere nausha jo zarā dekhte sar kā sahrā
sho.ala-e-husn jo un kā na chhupā sehre meñ
ijz se aap ko qadmoñ pe girāyā sehrā
pote paḌpotoñ ke tum bāñdhiyo sar ko sehre
jaisā baabā ne tumhāre tumheñ bāñdhā sehrā
hub kā ta.avīz bane phuul har ik sehre kā
vasl-e-yār us ko ho jis ne tirā dekhā sehrā
ūftāda bhī hai ye aur baḌā shoḳh bhī hai
gul-e-ruḳhsār kā le letā hai bosa sehrā
sehrā jo bāñdhte haiñ hind meñ naushāhoñ ko
chashm-e-bad ke liye shāyad hai ye niklā sehrā
panja-e-mehr se zohrā ne balā.eñ le liiñ
jab 'nasīm'-e-chaman-e-shauq ne likkhā sehrā
sar ko nausha ke mere shah ne bandha sehra
sura-e-nur ka dikhlata hai jalwa sehra
rish yaqub ne rakkhi hai ruKH-e-yusuf par
chashm-e-bad-dur ki hai zulf-e-zuleKHa sehra
bagh-e-ulfat se hasinon ne jo kaliyan bini
us pari ke liye pariyon ne banaya sehra
jadwalen sone ki yaqut raqam ne khinchi
ya hai mushaf pe sar-e-lauh mutalla sehra
jalwa-e-tur ka musi ko guman ho jata
mere nausha jo zara dekhte sar ka sahra
shoala-e-husn jo un ka na chhupa sehre mein
ijz se aap ko qadmon pe giraya sehra
pote paDpoton ke tum bandhiyo sar ko sehre
jaisa baba ne tumhaare tumhein bandha sehra
hub ka tawiz bane phul har ek sehre ka
wasl-e-yar us ko ho jis ne tera dekha sehra
uftada bhi hai ye aur baDa shoKH bhi hai
gul-e-ruKHsar ka le leta hai bosa sehra
sehra jo bandhte hain hind mein naushahon ko
chashm-e-bad ke liye shayad hai ye nikla sehra
panja-e-mehr se zohra ne balaen le lin
jab 'nasim'-e-chaman-e-shauq ne likkha sehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.