sar mein rah-e-ishq par chalne ka hai sauda abhi
sar mein rah-e-ishq par chalne ka hai sauda abhi
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
sar meñ rāh-e-ishq par chalne kā hai saudā abhī
kaun sī manzil hai merī ye nahīñ sochā abhī
fart-e-ġham meñ muskurānā to bahut dushvār hai
mujh ko rone kā salīqa bhī nahīñ aaya abhī
hāl-e-dil ho jā.egā ḳhud ek din un par ayaañ
maslahat is meñ bhī hai qaa.em rahe parda abhī
maiñ to dil par choT khā kar zabt se ḳhāmosh thā
ashk-ālūda magar thā kyoñ ruḳh-e-zebā abhī
vo nahīñ samjhegā kyā haiñ talḳhiyoñ meñ lazzateñ
jis ne apne dost se dhokā nahīñ khāyā abhī
jurm kuchh baḳhsheñge vo kuchh kī sazā mil jā.egī
tū mujhe kyoñ khaa.e jaatā hai ġham-e-fardā abhī
tifl-e-maktab huuñ 'shifā' mai-ḳhāna-e-‘maḳhmūr’ meñ
zeb dete haiñ mujhe kab sāġhar-o-mīnā abhī
sar mein rah-e-ishq par chalne ka hai sauda abhi
kaun si manzil hai meri ye nahin socha abhi
fart-e-gham mein muskurana to bahut dushwar hai
mujh ko rone ka saliqa bhi nahin aaya abhi
haal-e-dil ho jaega KHud ek din un par ayan
maslahat is mein bhi hai qaem rahe parda abhi
main to dil par choT kha kar zabt se KHamosh tha
ashk-aluda magar tha kyon ruKH-e-zeba abhi
wo nahin samjhega kya hain talKHiyon mein lazzaten
jis ne apne dost se dhoka nahin khaya abhi
jurm kuchh baKHshenge wo kuchh ki saza mil jaegi
tu mujhe kyon khae jata hai gham-e-farda abhi
tifl-e-maktab hun 'shifa' mai-KHana-e-‘maKHmur’ mein
zeb dete hain mujhe kab saghar-o-mina abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.