sar-nigun hain ki yunhi sharm-e-nazar uThti hai
sar-nigūñ haiñ ki yūñhī sharm-e-nazar uThtī hai
aañkh āfāq se miltī hai agar uThtī hai
aise nāzuk ko kahāñ mausam-e-sarmā kā dimāġh
dhund bhī jism ko chhū le to sihar uThtī hai
dekhiye kaun se aalam meñ ho aglī gardish
apnī miTTī jo yahāñ bār-e-digar uThtī hai
niiñd aatī hai 'kumār' āḳhir-e-shab āñkhoñ meñ
sone lagtā huuñ ki ik āh-e-sahar uThtī hai
sar-nigun hain ki yunhi sharm-e-nazar uThti hai
aankh aafaq se milti hai agar uThti hai
aise nazuk ko kahan mausam-e-sarma ka dimagh
dhund bhi jism ko chhu le to sihar uThti hai
dekhiye kaun se aalam mein ho agli gardish
apni miTTi jo yahan bar-e-digar uThti hai
nind aati hai 'kumar' aaKHir-e-shab aankhon mein
sone lagta hun ki ek aah-e-sahar uThti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.