sar-nigun husn pe ho ishq sar-afraaz na ho
sar-nigūñ husn pe ho ishq sar-afrāz na ho
lan-tarānī kā sar-e-tūr yahī raaz na ho
ham samajhne hī se ma.azūr rahe hoñ shāyad
lab pe ġhunche ke kahīñ terī hī āvāz na ho
parda dar parda hijābāt meñ rahne vaale
ġhair-mumkin hai ki jab soz to ho saaz na ho
bāġh-e-ālam meñ ye āvārgī-e-nik.hat-e-gul
terī zulfoñ ke hasīñ kaif kā e.ajāz na ho
ishq rangīn batā detā hai duniyā-e-hayāt
mastī-e-husn-e-nazar kā tirī e.ajāz na ho
tere dīvāna-e-ulfat ke liye mauzūñ hai
aisā aalam jo kisī aur kā dam-sāz na ho
'jauhar' us ā.ina-ruḳhsār kī mahfil meñ kahīñ
iztirābī dil-e-betāb kī ġhammāz na ho
sar-nigun husn pe ho ishq sar-afraaz na ho
lan-tarani ka sar-e-tur yahi raaz na ho
hum samajhne hi se mazur rahe hon shayad
lab pe ghunche ke kahin teri hi aawaz na ho
parda dar parda hijabaat mein rahne wale
ghair-mumkin hai ki jab soz to ho saz na ho
bagh-e-alam mein ye aawargi-e-nikhat-e-gul
teri zulfon ke hasin kaif ka eajaz na ho
ishq rangin bata deta hai duniya-e-hayat
masti-e-husn-e-nazar ka teri eajaz na ho
tere diwana-e-ulfat ke liye mauzun hai
aisa aalam jo kisi aur ka dam-saz na ho
'jauhar' us aaina-ruKHsar ki mahfil mein kahin
iztirabi dil-e-betab ki ghammaz na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.